AhnafMedia

Aasaar e sahaba rdh.

Rate this item
(8 votes)

Aasaar e sahaba rdh.

Sahaba ikraam rdh. Sharf e sobat nabawi sallallahu alaihi wasallam ki binaa par sab ke sab aadil,siqaa,khuda parast , raast baaz aur seerat wa kirdaar ki paakeezgi me alaa maqaam par faaiz aur aasmaan e rushd wa hidayat ke chamakte sitaare the.phir bhi tadbeer e quran aur fahem e hadees me sab yaksa nahi the balke is lehaaz se unke darjaat wa muraatib me tafaawut tha.chunaanche taabii e kabeer imam masrooq bayaan karte hai ke maine sahaba ikraam rdh se iktesaab faiz kiya toh maine dekha sabka ilm in 6 buzurgo tak lauta hai.hazrat umar farooq rdh , hazrat ali e murtuza rdh. , hazrat abdullah bin masood rdh , hazrat maaz bin jabal rdh , hazrat abu darda rdh , hazrat zayed bin saabit rdh phir un buzurgo se iktesaab e faiz par maloom huva ke in sab hazraat ka ilm hazrat ali rdh aur hazrat abdullah bin masood rdh par muntahi hojata hai.(tabqaat e ibn saad ,jild 2 ,safa 25 )

Aur ek dusre mashoor taabii imam shabi farmate hai ke hazrat sahaba me deeni ahkaam wa masail me faisla karne wale 6 hazraat the. 3 madine munawwara me jinke asmaa yeh hai hazrat umar rdh , hazrat ube bin kaab rdh , hazrat zayed bin saabit rdh aur 3 kufa me hazrat ali rdh , hazrat abdullah bin masood rdh aur hazrat abu musa ashari rdh.(mustadrik haakim , jild 3 , safa :465)

Sahaba rdh me baishtar wo hazraat hai jo qirat khalfal imaam ke qayal nahi the.is muqtasar tamheed ke baad hazraat sahaba rdh,tabien aur tabe tabien rh. Ke kuch aasaar wa aqwal pesh kiye jaarahe hai.

 

Aasaar e hazrat abdullah bin masood rdh.

1. Baseer bin jaabir riwayat karte hai ke hazrat abdullah bin masood rdh ne namaaz padhi toh kuch logo ko imam ke saat qirat karte suna , jab namaz se farigh huve tih farmaya kya abhi waqt nahi aaya ke tum log fahem wa aqal se kaam lo , jab quran ki qirat ki jaye toh tum uski taraf dhiyaan do aur chup raho jaise ke allah tala ne hukum diya hai.(jareer ul tabrii:jild 6:safa 216 , tafseer ibn kaseer:jild 2:safa 268 , mansoor lil suyuti:jild 3:safa 635)

2. Abu wayl kehte hai ke ek shaks ne imam ke peeche qirat karne ke bare me hazrat abdullah bin masood rdh. Se pucha toh inhone ne farmaya qirat ke waqt khamosh raho kyunke imam namaz me qirat me mashghool hai aur tume imam ki qirat kaafi hai.(musannaf abdur razzak:jild 2:safa 138 , musannaf ibn abi shaiba:jild 1:safa 376 , muwatta imam muhammed safa 96 , sunan e kubra:jild 2:safa 160 , majmua al zawaid:jild 2:safa 110)

3. Alqama bin qais bayaan karte hai hazrat abdullah bin masood rdh imam ke peeche qirat nahi karte the na jehri namazo me na siri namazo me aur na pehli rakaato me na akhri rakaato me(muwatta imam muhammed safa 96).

4. Hazrat alqama rh. Hazrat abdullah bin masood rdh se riwayat karte hai ke inhone farmaya kaash ke imam ke peeche qirat karne waale ke muh me mitti bhari huvi ho.(tahawi:jild 1:safa 150 , musannaf abdur razzaq:jild 2:safa 138 , asaar al sunan:safa 89)

 

Aasaar abdullah bin omar rdh.

Imam malik rh. Ba-waaste naafe riwayat karte hai ke hazrat abdullah bin omar rdh se jab pucha jaata ke kya koi imam ke peeche qirat karsakta hai ? Toh aap rdh farmaate ke tum me se koi jab imam ke peeche namaz padhe toh use imam ki qirat kaafi hai aur jab tanha namaz aadaa kare toh khud kare aur naafe kehte hai ke hazrat abdullah bin omar rdh imam ke peeche qirat nahi karte the.(muwatta imam malik:safa 58).

Imam muhammed ubaidullah bin umar bin hafs bin aasim bin umar bin khattab ke waaste naafe se naql karte hai ke naafe ne hazrat abdullah bin omar rdh se riwayat kiya hai ke inhone farmaya jo shaks imam ke peeche namaz aada kare use imam ki qirat kaafi hai.

Hazrat anas bin sireen se riwayat hai ke inhone hazrat abdullah bin umar se pucha kya imam ke peeche mai qirat karsakta hu ? Toh hazrat ibn umar rdh ne farmaya tum toh moote pait ke ho(yaani bewaquf ho) tume imam ki qirat kaafi hai.

Zayed bin aslim hazrat ibn umar rdh se riwayat karte hai ke ibn umar rdh imam ke peeche qirat karne se mana karte the.

Qaasim bin muhammed bayaan karte hai ke abdullah bin umar rdh imam ke peeche qirat nahi karte the khawa imam buland awaaz se qirat kare ya aahista qirat kare.

Ubaidullah bin maqsim riwayat karte hai ke inhone abdullah bin omar , zayed bin saabit aur jabir bin abdullah rdh se (imam ke peeche qirat ke bare me pucha) toh teeno hazraat ne farmaya kisi bhi namaz me imam ke peeche qirat na ki jaye.

 

Asar e hazrat zayed bin saabit rdh.

Hazrat ataa bin yaseer kehte hai ke inhone hazrat zayed bin saabit rdh se imam ke saat qirat karne ke bare me pucha toh aap ne farmaya imam ke saat kisi namaz me qirat nahi hai.

Tashreh: nawaab siddiq hasan khan rh. Likhte hai " zayed bin saabit ne farmaya imam ke saat bilkul qirat nahi ki jayegi hazrat jabir bhi yahi kehte hai aur hazrat ali, hazrat abdullah bin masood aur bahut saare sahaba rizwanallaahi tala alaihi ajmain ka yahi qaul hai."kaseer mannal sahaba " ko ba-taur e khaas pesh e nazar rakha jaye.

hazrat zayed bin saabit ke poote hazrat musa bin saaed se riwayat hai ke unke dada hazrat zayed bin saabit rdh ne farmaya jisne imam ke peeche qirat ki uski namaz (kamil) nahi huvi.

Hazrat ataa bin yaseer hazrat zayed bin saabit rdh se riwayat karte hai ke aap ne farmaya imam ke peeche qirat nahi hai.

 

Asar e hazrat jabir bin abdullah rdh.

1.Hazrat abu nayeem bin kisaan riwayat karte hai ke inhone hazrat jabir bin abdullah rdh. Ko yeh farmaate huve suna ke jis namaz padhi aur isme surah fatiha nahi padhi toh goya is namaz usne namaz nahi padhi magar jab ke wo imam ke peeche ho( yaani jab imam ki iteqah me namaz aadaa karraha hai toh ab uspar qirat zaruri nahi hai.

2.ubaidullah bin muqsim hazrat jabir rdh se riwayat karte hai ke hazrat jabir rdh, ne farmaya imam ke peeche qirat na kijaye.

3.hazrat ubaidullah bin muqsim kehte hai ke maine hazrat jabir bin abdullah rdh. Se pucha kya zohar wa asar imam ke peeche aap kuch padhte hai ? Toh inhone ne farmaya nahi(isse maloom horaha hai ke siri namazo me bhi muqtadi qirat nahi karega),

 

Asar e abdullah bin abbas rdh.

Abu jurah bin imraan bayaan karte hai ke maine hazrat abdullah bin abbas rdh. Se kaha kya imam ke peeche qirat karsakta hu ? Toh hazrat abdullah bin abbas ne farmaya nahi.yeh riwayat bhi apne itlaaq se jehri wa siri sab namazo ko shaamil hogi.

 

Asar e hazrat abu darda rdh

Hazrat abu nijaad bayaan karte hai ke hazrat saad bin abi waqas rdh ne farmaya mera ji chahta hai ke jo imam ke peeche qirat kar raha hai uske muh me angaar ho.(kyunke wo kitaab ullah wa sunnat e rasoolullah ke khilaaf kalaam karraha hai wallaahu alam)

 

Asar e khulfa e rasheedin rdh.

Musa bin uqba se riwayat hai ke rasoolullah sallallahu alaihi wasallam , hazrat abu bakar rdh , hazrat umar rdh , hazrat usmaan e ghani rdh imam ke peeche qirat karne se mana karte the.(musannaf ibn abi shaiba:jild 2:safa 139)

 

Asar e umar bin khattab rdh.

1. Naafe aur anas bin seerin riwayat karte hai ke hazrat umar farooq rdh ne farmaya ke tujhe(muqtadi)imam ki qirat kaafi hai.(musannaf ibn abi shaiba:jild 1:safa 376)

2. Muhammed bin ijlaan se marwi hai ke hazrat umar farooq rdh ne farmaya jo shaks imam ke peeche qirat karta hai kaash ke uske muh me pattar ho.(muwatta imam muhammed:safa 106)

3. qasim bin muhammed se marwi hai ke hazrat umar bin khattab rdh ne farmaya imam ke peeche qirat na ki jaye imam buland awaaz se qirat kare ya buland awaaz se na kare.

 

Asar e hazrat ali rdh

Abdullah bin abi laila se marwi hai ke hazrat ali rdh ne farmaya jisne imam ke peeche qirat ki usne fitrat khodi.(musannaf ibn abi shaiba:jild 1:safa 376)

Asar e hazrat ali rdh wa hazrat umar rdh wa hazrat abdullah bin masood rdh.

Abdur razzak ba-waasta dawud bin qais , muhammed bin ijlaan se riwayat karte hai ke inhone kaha hazrat ali e murtuza rdh ne farmaya jisne imam ke saat qirat ki wo fitrat par nahi hai(isliye ke usne quran wa hadees ki muqalifat ki) abdur razzak ne(isi sanad se kaha) aur hazrat abdullah bin masood rdh ne farmaya imam ke peeche qirat karne wale ke muhme matti bhardi jaye aur abdur razzak ne (yeh bhi) kaha ke hazrat umar farooq rdh ne farmaya jo shaks imam ke peeche qirat karta hai meri quwaish hai ke uske muh me pattar ho(taake wo qirat na karsake).(musannaf abdur razzak:jild 2:safa )

 

Asar hazrat ube bin kaab rdh

Abdullah bin abi hazeel se marwi hai ke hazrat ube bin kaab rdh zuhar wa asar yaani sari namazo me imam ke peeche qirat karte the.

Tashreh: imam ibn abdul bar likhte hai ke bataur e qaas zohar wa asar ka zikr is baat ki daleel hai ke hazrat ube rdh jehri namazo me imam ke peeche qirat nahi karte the.(al tamiya:jild 11:safa 36)

Asar e ayesha siddiqa rdh wa hazrat abu hurairah rdh.

Abu saleh rh, se marwi hai ke hazrat abu hurairah rdh aur hazrat ayesha siddiqa rdh hukum dete the ke imam jehri qirat na kare toh uske peeche qirat ki jaye.(sunan e kubra:jild 2:safa 171).

Tashreh: is rivayat se maloom huva ke dono hazraat jehri namazo me imam ke peeche qirat ke qayal nahi the.imam behaqi ne in dono akbar sahaba ka yeh amal do sanado se zikr kiya hai.aur dono ki sanade jaiyad hai.

aap dekh rahe hai ke fuqaha e sahaba me se hazrat siddiq e akbar , hazrat farooq azam , hazrat usmaan e ghani , hazrat ali , hazrat abdullah bin masood , hazrat abdullah bin omar , hazrat abdullah bin abbas , hazrat jabir bin abdullah , hazrat saad bin abi waqas , hazrat zayed bin saabit ,hazrat ube bin kaab , hazrat abu darda rdh , hazrat abu hurairah aur hazrat ayesha siddiqa rizwaanallaahi tala alaihi ajmain yeh sab hazraat (ba-istaisnaa hazrat ayesha siddiqa , hazrat abu hurairah rdh hazrat ube bin kaab rdh) mutalliqan qirat khalfal imaam ke qayal nahi hai.balke imam shaibi rh. Toh bayaan karte hai ke maine 70 badri sahaba rizwanallaahi tala alaihim ajmain ko dekha hai ke wo imam ke peeche muqtadi ko qirat karne se mana karte the.(roohul maani:jild 2:safa 135)

Hafiz baddar uddin aaini aur alama ali qaari rh. Saraahat karte hai ke 80 sahaba se imam ke peeche qirat mumaaniyat ka sabut milta hai.(undatul qaari shara al bukhari:jild 3:safa 67 , shara niqaaya:jild 1:safa 83).

Ab zeel chand tabien aur tabe tabien ke aqwal wa asaar mulaahaiza kijiye , taake in buzurgo ka nuqte nazar bhi masla zaire bahez ke bare me saamne aajaye.

 

Asaar e tabien rahimaullah ajmain:

1.hazrat ibrahim nakii bayaan karte hai ke hazrat alqama bin qais ne imam ke peeche kabhi kisi namaz me qirat nahi ki na jehri namazo me aur na siri me (na pehli rakaato me) na pichli rakaato me na surah fatiha aur na koi aur surat.

2.abu ishaq riwayat karte hai ke hazrat alqama bin qais rh. Ne farmaya meri quwaish hai ke jo imam ke peeche qirat karta hai uska muh bhar diya jaye.abu ishaq kehte hai ke mera khiyaal hai ke aapne farmaya uska muh mitti se ya pattar se bhardiya jaye.(musannaf abdur razzak:jild 2:safa 139)

3.hazrat ibrahim nakii rh. Se marwi hai ke hazrat alqama bin qais rh. Ne farmaya mujhe daant se angaar ka kaantna zyada pasand hai isse ke mai imam ke peeche qirat karo.(muwatta imam muhammed)

Tashreh:yeh riwayate saaf batta rahi,hai ke hazrat alqama rh. Jo hazrat abdullah bin masood rdh ke ahem tareen tilaaza me hai na sirf yeh ke qirat khalful imam ke qayal aur uspar aamil nahi the balke wo qirat khalful imam ko had e darje na pasand karte the.

 

Asar e hazrat umaro bin maimoon degar tilaaza e hazrat abdullah bin masood rdh.

1. Hazrat maalik bin amaar bayaan karte hai ke maine hazrat abdullah bin masood rdh ke beshumaar tilaaza se( qirat khalful imam ke bare me) pucha toh sabne yahi jawaab diya ke imam ke peeche qirat nahi kijayegi unme umaro bin maimoon khaas taur par qaabil e zikr hai.(musannaf ibn abi shaiba:jild 1:safa 377)

2. Hazrat abu ishaq bayaan karte hai ke hazrat abdullah bin masood rdh ke tilaaza imam ke peeche qirat nahi karte the.

Tashreh:is mauqe par yeh baat bhi pesh e nazar rahe ke yeh " ashaab e abdullah" ilmi duniya me apne uloom wa maarif aur seerat wa kirdaar ke aitebaar se apni ek khaas pehchaan rakhte the.chunaanche hazrat ameer uk momineen ali e murtuza rdh. Jaise sahabi e rasool jab kufa tashreef laaye toh hazrat abdullah bin masood rdh ke un tilaaza ki ilmi wa amali sargarmiyo ko dekhkar farmaya "abdullah bin masood ke tilaaza is shar ke roshan e chiraagh hai".(tabqaat ibn saad:jild 6:safa 4).

Aur aap dekh rahe hai ke yeh roshan chiraagh kul ke kul imam ke peeche qirat nahi karte the.

 

Asar e hazrat aswad bin yazeed rh.

Hazrat ibrahim nakii rh, se marwi hai ke aswad bin yazeed rh. Ne farmaya mujhe daanto se angaare ka kaantna is baat se zyada pasand hai ke mai imam ke peeche qirat karo jabke mujhe maloom hai ke wo qirat karta hai.(musannaf ibn abi shaiba:jild 1:safa 376)

Dabra bin abdur rahmaan aur ibrahim nakii dono hazrat aswad bin yazeed se rivayat karte hai ke inhone farmaya meri quwaish hai ke jo shaks imam ke peeche qirat karta hai uska muh mitti se bhar diya jaye,(musannaf ibn abi shaiba:jild 1:safa 377).

 

Asar e hazrat saweed bin ghafla rh.

Hazrat waleed bin qais riwayat karte hai ke maine hazrat saweed bin ghafla rh. Se pucha gaya mai zohar wa asar me imam ke peeche qirat karsakta hu ? Toh farmaya nahi,

Tashreh:saael waleed bin qais ko degar jehri namazo ke bareme me maloom tha ke inme imam ke peeche qirat karni durust nahi hai albatta zohar wa asar jo siri namaze hai unke bare me taradud tha ke in namazo me muqtadi ki qirat ka kiya hukum hai isliye hazrat saweed se daryaaft kiya toh inhone ne masla saaf kardiya ke siri namazo me bhi muqtadi ko qirat nahi karni chahiye.(musannaf ibn abi shaiba:jild 2: safa 377).

 

Asar hazrat abu wayl shafeeq bin salma.

Hazrat umaro bin marra hazrat abu wayl shafeeq bin salma rh. Se riwayat karte hai ke aap ne farmaya tujhe imam ki qirat kaafi hai.(musannaf ibn abi shaiba:jild 1:safa 377).

 

Asar e saeed bin jubair rh.

Hazrat abu yasheer riwayat karte hai ke maine hazrat saeed bin jubair se imam ke peeche qirat ke bareme pucha ? Toh farmaya ke imam ke peeche bilkul qirat nahi hai.(musannaf ibn abi shaiba:jild 1:safa 377).

 

Asar e saeed bin museeb rh.

Qatada hazrat saeed bin museeb se riwayat karte hai ke saeed bin museeb ne farmaya imam ke peeche khamosh raho.(musannaf ibn abi shaiba:jild 1:safa 377).

 

Asar e hazrat urwa bin zubair rh,

Hishaam bin urwa apne waalid hazrat urwa bin zubair se riwayat karte hai ke wo imam ke peeche sirf un namazo me qirat karte the jinme imam buland awaaz se qirat nahi karta. (muwatta imam maalik: safa 29).

Tashreh: yeh asar jehri namazo me imam ke peeche qirat na karne ke bare me bilkul waajeh aur saaf hai.

 

Asar e hazrat ibrahim nakii rh.

Hazrat mughira bin muqsim hazrat ibrahim nakii rh se riwayat karte hai ke hazrat ibrahim imam ke peeche qirat na pasand karte the aur farmaate the ke tujhe imam ki qirat kaafi hai.(musannaf ibn abi shaiba:jild 1:safa 377).

Akeel hazrat ibrahim nakii se riwayat karte ke inhone ne farmaya jo imam ke peeche qirat karta hai wo muqalifaat karne wala hai yaani quran wa hadees ke hukum ki khilaaf warzi kar raha hai.

(musannaf ibn abi shaiba:jild 1:safa 377).

 

Asar e hazrat saalim bin abdullah bin omar rdh bin khattab.

Imam zehri rh. Hazrat saalim bin abdullah se riwayat karte hai ke aapne farmaya imam jin namazo me jehri se qirat karta hai tujhe uski qirat kaafi hai. Yaani muqtadi ko qirat karne ki zarurat nahi.(musannaf ibn abi shaiba:jild 2:safa 139).

Read 2651 times

DARULIFTA

Visit: DARUL IFTA

Islahun Nisa

Visit: Islahun Nisa

Latest Items

Contact us

Markaz Ahlus Sunnah Wal Jama'h, 87 SB, Lahore Road, Sargodha.

  • Cell: +(92) 
You are here: Home Articles in Roman Urdu Aasaar e sahaba rdh.

By: Cogent Devs - A Design & Development Company