AhnafMedia

Hazrat IBn Abbas Rdh. ki Hadees Par Jarah ka Jawaab (Taraveh)

Rate this item
(40 votes)

BISMILLAH HIR RAHMAAN NIR RAHEEM

Hazrat Abdullah Bin Abbas Rdh. Se Marwi Hai Ke Rasool Ullah Saw Ramzaan Ul Mubarak Me 20 Rakaat Taraveh Aur Witr Padhte The. (Musannaf Ibn Abi Shaiba Jild 2 Safa 286 , Sunan E Kubra : Jild 2 , Safa 698).

Aaiteraaz : Ghair Muqallideen Ka Kehna Hai Ke

Is Hadees Ko Muhaddiseen Ne Zaeef Kaha Hai Kyunke Iski Sanad Me Ek Raavi Ibrahim Bin Usmaan Abu Shaiba Rh. Zaeef Hai.

Al Jawaab : Is Raavi Par Kuch Muhaddiseen Ne Kalaam Kiya Hai Jinki Taqleed Karte Huwe Ghair Muqallideen Unki Jarah Ko Khushi Se Pesh Karte Hai. Inshaallah Un Tamaam Muhaddiseen Ki Jarah Ka Jawaab Diya Jaayega.

Lekin Yaha Ek Waazeh Karna Zaroori Samajhta Hu Ke Agar Che Ibrahim Bin Abu Shaiba Majrooh Hai Lekin Yeh Itna Zaeef Bhi Nahi Ke Uski Riwayat Ko Bilkul Mauzoh Hi Qaraar Diya Jaye.Kyunke Aimma E Rijaal Ne Uski Tauseeq Bhi Ki Hai Jo Aage Insha Allah Pesh Kiye Jaayegi .

Imam Ahmed Rh. Ki Jarah Aur Uska Jawaab :

Imam Ahmed Rh. Ne Abu Shaiba Ko Munkir Ul Hadees Kaha Hai

Jawaab : Lekin Awaal Toh Yeh Jarah Ghair Muqallideen Ke Nazdeek Ghair Mufassir Hai.Yahi Waje Hai ke Maulana Irshaad Ul Haq Asri Likhte Hai : Imam Ahmed Rh. Ne Kisi Ko Munkir Ul Hadees Ko Kaha Bhi Hai Toh Usko Jarah Mufassir Qaraar Nahi Diyaa Jaasakta.Kyunke Munkir Ul Hadees Imam Ahmed Rh. Ki Istehaa Me Us Par Bola Jaata Hai Jo Ghareeb E Hadees Laaye Aur Ghareeb E Hadees Saheeh Bhi Hosakti Hai. (Tauzihul Kalaam : 500/1 ). Maulana Muhammed Gonalwi Sahaab Ghair Muqallid Likhte Hai : Imam Ahmed Rh. Aur Is Qism Ke Log Kisi Ko Munkir Ul Hadees Kehte Hai Toh Usse Yeh Laazim Nahi Aata Ke Wo Qaabil E Aitejaaj Nahi Hai.(Khair Ul Kalaam : Safa 49). Isi Tarah Zubair Ali Zai Sahaab Ne Likhte Hai : Sirf Zaeef Ya Matrook Ya Munkir Ul Hadees Kehne Se Jarah Mufassir Nahi Hai.(Rakaat E Qiyaam E Ramzaan Ka Tehqiqi Jayeza Safa 65).

Kyunke Alama Zehbi Rh. Ne Mizaan Ul Aitedaal Me Likha Ke Jis Raavi Par Hamesha Munkir Ul Hadees Ki Jarah Ho Zaruri Nahi Hai Ke Wo Zaeef Ho.(Mizaan Ul Aitedaal).

Toh Phir is Jarah ki Kya Haqiqat Baaqi Reh Gayi ??

Imam Shaiba Bin Hijaaj Rh. Ki Jarah Aur Uska Jawaab :

Ghair Muqallideen Ka Kehna Hai Ke Imam Shaiba Rh. Ne Abu Shaiba Rh. Ko Kazzab Kaha Hai.

Jawaab: Imam Shaiba Ne Abu Shaiba Ki Mutlaq Takzeeb Nahi Ki Balke Sirf Ek Qisse Me Uske Bare Me Kazzaab Farmaaya.Chunaache Hafiz Ibn Hajar Rh. Likhte Hai :” Wa Kazzaba Shaiba Fii Qissa “ (Tehzeeb 145/1) Aur Wo Qissa Kya Hai ? Unko Hafiz Zehbi Rh. Ne Yu Bayaan Kiya Hai. Imam Shaiba Rh. Ne Abu Shaiba Ko Isliye Jhutlaaya Ke Usne Ek Hukum Se Yeh Riwayat Bayaan Ki Ke Hazrat Ibn Abi Ya’ala Rh. Farmaate Hai Jang E Suffain Me 70 Badri Sahaba Rdh. Shareek The. Imam Shaiba Rh. Ne Farmaaya Usne Ghalat Bayaani Ki.Wallah Maine Is Bare Me Hukum Se Muzaakeraah Kiya Toh Humne Siwaaye Hazrat Khuzaima Rdh. Ke Kisi Ahle Badr Ko Nahi Paaya Jisne Jang E Suffain Me Shirkat Ki Ho. (Mizaan Ul Aitedaal : 23/1)

Is Bayaan Se Waazeh Hogaya Ke Imam Shaiba Rh. Ne Abu Shaiba Rh. Ko Mutlaq Takzeeb Nahi Ki Balke Sirf Ek Waqiaa Bayaan Karne Me Jhutlaaya Hai Aur Is Qisse Me Bhi Abu Shaiba Rh. Ka Koi Qusoor Nahi.Kyunke Inhone Toh Yeh Riwayat Imam Hukum Rh. Se Naql Ki Hai.Ab Agar Yeh Riwayat Ghalat Hai Toh Is Me Qusoor Imam Hukum Rh. Ka Hai Ke Inhone Yeh Riwayat Bayaan Ki Na Ke Abu Shaiba Ne.

Aur Imam Shaiba Rh. Ka Dawa Ke Suffain Me Hazrat Khuazaima Rdh. Ke Siwa Koi Badri Shareek Nahi Huwa Durust Nahi. Yahi Wajah Hai Ke Imam Zehbi Rh. Ne Imam Shaiba Rh. Ki Is Jarah Ka Yu Mazaaq Udaaya Hai.

“ Mai Kehta Hu Ke Subhan Allah Kya Hazrat Ali Rdh. Ne Jang E Suffain Me Shirkat Nahi Kit Hi ? Kya Hazrat Amaar Rdh. Ne Shirkat Nahi Ki Thi(Aur Yeh Dono Ahle Badr Me Se Hai). (Mizaan Ul Aitedaal 32/1)

Maloom Huwa Ke Alama Zehbi Rh. Ki Nazdeek Abu Shaiba Rh. Par Imam Shaiba Rh. Ki Jarah Ghalat Hai.

Isi Tarah Haafiz Ibn Hajar Rh. Ke Nazdeek Bhi Shaiba Ki Yeh Takzeeb Qaabil E Qubool Nahi Hai.Kyunke Jis Raavi Par Kazb Ki Tohmat Lagaayi Gayi Hai Usko Unhone “ Tabqa Al Haadiyaa Ashra “ Me Shumaar Kiyaa Hai Aur Jis Raavi Par Kazb Ka Itlaaq Kiya Gaya Hai Usko Unhone “ Tabqa Al Saaniyaa Ashraa” Me Shumaar Kiyaa Hai. (Muqdama E Taqreeb : 52/1)

Lekin Ibrahim Bin Abu Shaiba Rh. Hafiz Ibn Hajar Ne Na “ Tabqa Al Haadiyaa Ashra “ Me Shumaar Kiyaa Aur Na “ Tabqa Al Saaniyaa Ashraa” Me Shumaar Kiyaa Toh Maloom Huwa Ke Ibn Hajar Rh. Ke Nazdeek Na Abu Shaiba Rh. Par Kazb Ki Tohmat Saheeh Hai Aur Na Kazb Ka Itlaaq Durust Hai.

Aur Ghair Muqallid Aalim Maulana Ahmed Rehmaani Sahaab Ke Qaul Ke Mutaabiq Bhi Ibn Hajar Rh. Ke Nazdeek Abu Shaiba Rh. Ke Bare Me Takzeeb Ka Qaul Ghair Saheeh Aur Ghair Munaasib Hai.(Anwaar Us Masaabih : Safa 116 Ba-Hawaala Taqreeb).

Toh Sawaal Ab Yeh Hai Ke Ghair Muqallideen Kis Muh Se Abu Shaiba Rh. Ki Takzeeb Par Kamar Basta Hai ?

Aur Yeh Baat Bhi Qaabil E Tawajjo Hai Imam Shaiba Rh. Ne Ibrahim Bin Abu Shaiba Rh. Se Riwayat Li Hai.(Tehzeeb Al Kamaal 390/1 , Tehzeeb At Tehzeeb 144/1)

Aur Muhaddiseen Ke Usool Ke Mutaabiq Jab Ek Hi Imam Ke Qaul Me Ikhtelaaf Ho Toh Tarjeh Tauseeq Ko Hoti Hai Jiski Wazaahat Maulana Irshaad Ul Haq Asri Ghair Muqallid Ne Kardi Hai. (Tauzihul Kalaam 534/1)

Pas Agar Bil Farz Imam Shaiba Rh. Ne Abu Shaiba Rh. Ki Takzeeb Bhi Ki Hai Toh Use Riwayat Lekar Uski Tauseeq Kardi.Lehaza Unki Tauseeq Karna Unke Jarah Karne Par Raajeh Hai.

Imam Bukhari Rh. Aur Imam Abu Haatim Rh. Ki Jarah Aur Unka Jawaab :

Imam Bukhari Rh. Aur Imam Abu Haatim Rh. Ne Abu Shaiba Rh. Ko Sakatu Anhu(Unke Bare Me Muhaddiseen Khamosh Rahe) Aur Tarku Anhu(Muhaddiseen Ne Unko Chor Diya) Farmaaya.

Al Jawaab : In 2 Jumlo Se Inhone Apni Raai Ko Izhaar Nahi Kiyaa Balke Dusre Logo Ki Raai Naql Ki Hai. Aur Yeh Kalaam Bhi Maujoob Jarah Nahi Kyunke Jarah Karne Waale Majhool Hai Chunaanche Is Qism Ki Ek Jarah Ke Bare Me Maulana Irshaad Ul Haq Asri Likhte Hai : Imam Dariqutni Rh. Ne Laiyan-Nuhu (Muhaddiseen ne Unko Kamzoor Qaraar Diya) Kaha Toh Usko Leen Kehne Waala Majhool Hai Lehaaza Uska Koi Aitebaar Nahi. Neez Likhte Hai : Agar Jaareh ( Jarah Karne Wala) Majhool Hai Toh Ahle Ilm Jarah Ko Qubool Nahi Kiya ( Tauzihul Kalaam: 534/1 ).Mazeed Likhte Hai : Yeh Kalaam Maujoob Jarah Nahi Kyunke Yeh Majhool Aadmi Se Hai Ke Kisne Yeh Kaha Hai. ( Tauzihul Kalaam: 534/1 )

Zubair Ali Zai Likhte Hai : Ibn Abi Haatim Rh. Ka Qaul “Takallahu Fihi”(Unke Bare Me Kalaam Kiya) Kai Lehaaz Se Mardood Hai :

1. Yeh Jarah Ghair Mufassir Hai

2. Iska Jaareh Na Maloom Hai. (Nurul Aainain : 88)

Imam Ibn A’adi Rh. Ki Jarah Aur Uska Jawaab :

Maulana Nazeer Rahmani Sahaab Alama Zaili Rh. Ke Hawale Se Likhte Hai: Ibn Aadi Ne Us(Ibrahim Bin Abu Shaiba) Leen Kaha Hai.(Anwaar Ul Masaabih : 160).

Al Jawaab : Ab Leen Ka Lafz Alfaaz E Jarah Me Kis Darje Ka Hai ? Iska Jawaab Khud Maulana Rehmaani Se Mulaaheza Farmaaye:

Chunaanche Wo Likhte Hai : Muhaddiseen Ne Fiyaa Leen Aur Leen Ul Hadees Ko Bahut Halke Aur Mamuli Darje Ke Alfaaz E Jaraah Me Shumaar Kiya Hai.(Anwaar Ul Masaabih : 115) Neez Likhte Hai Maloom Huwa Ke Jis Raavi Ke Mutaalliq Fiyaa Leen Ya Leen Ul Hadeea Kaha Ho Uski Riwayat Qaabil E Taraah Wa Tark Nahi Hai. (Anwaar Ul Masaabih : 115).

Toh Yeh The Ibrahim Bin Abu Shaiba Par Kiye Gaye Jarah Ke Jawaabaat.

Ab Unki Kin Kin Muhaddiseen Tauseeq Ki Hai : Yeh Bhi Muhaiza Farmaaye :

  1. Imam Ibn A’adi Rh. [( Tehzeeb Al Kamaal : 393/1) , (Tehzeeb At Tehzeeb : 144/1)]
  2. Imam Yazeed Bin Haroon Rh. ( Farmaate Hai : Ibrahim Abu Shaiba Rh. Se Badkar Apne Zamaane Me Koi Qaazi Aadil Nahi Huwa). [Tehzeeb Al Kamaal : 392/1]
  3. Imam Shaiba Bin Hijaaj Rh. (Ne Unse Riwayat Li Hai).[Tehzeeb Al Kamaal : 390/1]
  4. Imam Ibn A’adi Rh. Ne Bhi Farmaaya : Agar Che Abu Shaiba Ko Zaeef Ki Taraf Mansoob Kiya Hai Lekin Wo Ibrahim Bin Abi Haiya Se Behtar Hai.

Aur Ibrahim Bin Abi Haiya Ke Bare Me Imam Ibn Maeen Ne Farmaya : “ Shaik Siqaa”.Sahaab E A’alaa E Sunan Ne Kaha Ke “ Ibrahim Bin Abi Haiya Muqtalif Fiyaa Hai.(Lesaan Al Mizaan).Pas Jo Shaks Is Ibrahim Bin Abi Haiya Se Zyada Behtar Ho Wo Hasan Ul Hadees Se Kam Nahi Hosakta. [A’alaa E Sunan : 71/1]

Aur Yaad Rahe Ke Ibn A’adi Rh. Ne Farmaya : Ibrahim Bin Abu Shaiba Ibrahim Bin Abi Haiya Se Behtar.

Isi Tarah Ghair Muqallid Aalim Hafiz Muhammed Gonalwi Sahaab Ne Bhi Kaha Ke “ Jab Raavi Muqtalif Fiya Ho Toh Uski Hadees Hasan Hoti Hai. (Khair Ul Kalaam : 238)

Jab Ibrahim Bin Abi Haiya Hasan Ul Hadees Se Kam Nahi Hosakte Toh Phir Ibrahim Bin Abu Shaiba Jo Ke Usse Behtar Hai Unki Hadees Qaabil E Qubool Kyun Nahi ??

Lehaza Yeh Riwayat E Ibn Abbas Rdh.Ki Hasan Hogi Aur Hasan Se Aitejaaj Bilkul Durust Aur Saheeh Hai.

Note : Ghair Muqallideen Is Hadees Ko Zaeef Kehkar Mauzoo Saabit Karne Ki Napaak Koshish Karte Hai , Lekin Unki Yeh Koshish Ghair Saheeh , Baatil aur Bekaar hai Kyunke Aaj Tak Kisi Bhi Motabar Faqi Ya Muhaddis Ne Is Riwayat Ko Mauzo Nahi Kaha , Agar Kaha Toh Daleel Pesh Ki Jaaye.

Read 5818 times

DARULIFTA

Visit: DARUL IFTA

Islahun Nisa

Visit: Islahun Nisa

Latest Items

Contact us

Markaz Ahlus Sunnah Wal Jama'h, 87 SB, Lahore Road, Sargodha.

  • Cell: +(92) 
You are here: Home Articles in Roman Urdu Hazrat IBn Abbas Rdh. ki Hadees Par Jarah ka Jawaab (Taraveh)

By: Cogent Devs - A Design & Development Company