AhnafMedia

Taqleed Kya Hai ?

Rate this item
(39 votes)

 

 

Hamara Maslak : Ahle Sunnat Wal Jamaat
Hamari Dawat
: Itteba Kitab Wa Sunnat Bar Tariqa e Aslaaf E Ummat.
Hamara Nara :
Ittehaad Ummat.
Hamari Koshish :
Ahya e Tauhid Wa Sunnat Aur Khatma Shirk Wa Bidat.
Hamara Maqsad :
Isha-at Maarofaat Wa Izaala-E-Munkiraat.
Minjaanib :
Majlish Tahaffuz Sunnat Wa Difa E Sahaba Radiallah Tal'a Anhum Andhra Pardesh.

Note :

Is Istehaar Ka Mukammal Ihtaram Farmaye Niche Girne Se Aur Kisi Bhi Beahterami Se Bachaye. Is Me Ayat Quraaniya Aur Ahadees Mubaraka Tehreer Hai Isko Padhye Aur Chap Kar Dusro Tak Puhucha Kar Sawab Daarain Hasil Kijiye.

Mohtaram Baraadaraan E Islam ! Ilm Deen Se Waqif Har Musalman Is Bat Se Bakhubi Waqif Hai Ke Allah Tal'a Ne Deen Islam Ke Har Shobe Ki Hifazat Keliye Khairul Quroon Aur Uske Qarib Ke Daur Me Apne Khaas Bando Ko Chun Kar Un Se Qayamat Tak Islam Ki Hifazat Ka Azeem Kam Liya Hai , Maslan Alfaz E Quran Ki Hifazat Ke Liye Asim Kufi Rh.,Hafs Kufi Rh. , Shuba Kufi Rh.  Wagaira Qariyo Ki Jamat Ko Paida Farmaya. Quran Ke Sahi Matlab Wa Mafhom Ki Hifazat Keliye Muffasireen Ko Hadees E Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Hifazat Keliye Muhaddiseen Ko Wajood Baksha.

Isi Tarah Ummat Muslima Ki Amli Zindagi Me Quran Wa Hadees Ke Mutabiq Sahi Rehnumai Keliye Bahut Sare Fuqaha Wa Mujtahideen Ko Muntakhib Farmaya Jis Ki Tafsil Alama Ibn Qaiyam Rahmatullah Alai Ne ''Elaamul Muwaqqa-Een'' Jild Awwal Metartib Ke Sath Naqal Farmayi Hai Khusosan Imam Abu Hanifa Ra,Imam Malik Ra,Imam Shafi Ra Aur Imam Ahmed Ra Ko Allah Tal'a Ne Ummat Ke Andar Jo Aam Maqboliyat Ata Farmayi Wo Har Ek Ko Maloom Hai.Puri Ummat Muslima Har Elaaqe Aur Har Daur Me Quran Wa Hadees Ke In Mahir Ulama Aur Imamo Ki Itaiba Wa Taqleed Karti Aur Unki Bat Maanti Chali Aarahi Hai.

Lekin Puri Ummat Ke Ulama Ke Is Ijma Wa Ittefaq Ke Bar Khilaf Aaj Firqa Ghair Muqallideen Hindustani Ahle Hadees Ke Ahbaab Taqleed Ko Kufr Wa Shirk Qaraar De Rahe Hai.Kam Ilm Musalmano Ke Samne Uske Khilaaf Jhuta Propaganda Karte Huwe Ayat Wa Ahadees Ko Tod Maroor Kar Pesh Kar Rahe Hai.Jamaat Ahle Hadees Ghair Muqallideen Ke Ulama Apni Jamat Ke Afrad Ko Taqleed Ka Galat Mafhom Batate Hai Aur Ahle Hadees Awaam Puri Tehqeeq Kiye Beghair Apne Ulama Ki Batai Huwi Baato Per Aitemaad Karke Unki Taqleed Me Haq Bat Se Dor Salaf Wa Saleheen Se Badgumaan Wa Mutafir Ho Jaye.

Ahle Hadees Ulama Wa Awwam Ki Isi Galat Fahmi Ko Dor Karne Aur Musalmano Ko Taqleed Ki Haqiqat Se Aagah Karne Keliye Kuch Ahem Baate Naqal Ki Ja Rahi Hai. Allah Tal'a Haq Ko Haq Samajhne Aur Rah-E-Hidayat Ko Ikhtiyaar Karne Ki Hum Sab Musalmano Ko Taufiq Ata Farmaye Ameen .

Taqleed Ki Haqiqat Yeh Hai Ke:

Agar Kisi Aadmi Ko Ek Cheez Ka Ilm Na Ho To Wo Is Chez Ke Silsila Me Ek Aise Shaks Per Aitemaad Aur Bharosa Karte Huwe Uski Baat Ko Qabool Kare Jis Ki Bat Sharai Hujjat To Nahi Hai Lekin Wo Shaks Us Ilm Wa Fan Ka Muhaqqiq,Jankaar Aur Maahir Hai Jaise Mareez Ka Doctor Ki Baat Ko Manna,Ghar Banane Wale Ka Engineer Ki Bat Ko Taslim Karna,Hadees Ke Maamle Me Muhaddiseen Ke Faisle Ko Qabool Karna, Kisi Ayat Ka Matlab Wa Mafhoom Malum Karne Ke Liye Tafsir Ki Kitabe Padhna Ye Sab Taqleed Hi Ki Surate Hai.

Lekin Umu-Man Fiqhi Masaail Me Kisi Faqhi Aur Mujtahid Ke Bataye Huwe Masla Per Amal Karne Ko Taqleed Kaha Jata Hai , Jo Quran Wa Hadees Se Sabit Hai Aur Daur Sahaba Radiallah Tala Anhum Se Aaj Tak Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Is Per Amal Hai (Tafsil Ke liye Dekhye Al Kalam Al Mufid Fi Asbaatul Taqleed Taif E Mansura)

Taqleed Lazim Wa Wajib Hai :

Huzur e Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshad Giraami Hai : Jo Shaks Be-ghair Ilm Ke Quran Me Koi Baat Kahe Wo Apna Thikana Dozaq Me Bana Le(Tirmizi).Har Musalman Quran Wa Hadees Ke Tamaam Uloom Se Waqif Nahi Hota Hai Lehaza Uske liye Zaruri Hai Ke Quran Ke Mahir Aalim Ki Baat Ko Qabool Karke Uske Mutabiq Amal Kare Apni Taraf Se Koi Rai Na De Warna Dozaq Me Apna Thikaana Bana Le.

Taqleed Ki Zarurat Wa Ahmiyat Aur Uska Azeem Faida:

Har Sahab Imaan Ka Ye Yaaqin Hai Ke Tamam Insaano Ki Kaamiyaabi Quran Wa Hadees Ke Mutabiq Zindagi Guzaarne Me Hai.Aur Har Padha Likha Shaks Is Bat Se Bakhubi Waqif Hai Ke Quran Wa Hadees Me Har Masala Ka Hukum Wazeh Alfaaz Me Likha Huwa Nahi Hai Balke Hazaaro Masaail Aise Hai Jinka Hukum Maloom Karne Ke Liye Quran Wa Hadees Me Gaur Wa Fikar Aur Behas Wa Tahqeeq Ki Zarurat Padti Hai.Jis Ke Liye Bahut Wasii Aur Sahi Ilm,Behtireen Faham,Arabi Zubaan Mei Mahaarat Lazim Hai.

Isliye Ke Be-Ghair Ilm Ke Quran Me Gaur Karna Aur Koi Rai Dena Haraam Aur Gunah Kabira Hai(Tirmizi).Dusri Taraf Karodo Musalmaan Aise Hai Jo Likhna Padhna Nahi Jaante Hai , Khususan Ilm E Deen Se To Musalmano Ki Aksariyat Nawaqif Hai Aisi Surat Me Shariyat Per Sahi Amal Ka Sirf Ek Mehfooz Raasta Reh Jata Hai Wo Ye Ke Quran Wa Hadees Ke Maahir Ulama Se Puch Kar Amal Kiya Jaye.Yahi Taqleed Hai. Is Mehfooz Raasta Ke Bajaye Agar Har Shaks Se Ye Kaha Jaye Ke Kisi Imam Ya Alim Ki Taqleed Shirk Hai Lehaza Khud Quran Wa Hadees Padh Kar Jo Samajh Me Aaye Us Per Amal Karlo To Yeh Sidha Gumraahi Ka Raasta Hai.

Kyuke Agar Har Shaks Apne Zaheen Wa Aqal Se Shariyat Per Amal Karne Lage Aur Apne Khilaaf Dusro Ke Masaail Ko Galat Kehne Lage To Na Musalmano Me Ittehad Qayaam Reh Sakta Hai Na Islam Apni Asli Shakal Wa Surat Per Baaqi Reh Sakta Hai. Isi Wajah Se Hindustan Ke Azeem Hanafi Aalim Hazrat Shah Wali Allah Muhaddis Dehlavi Rahmatullah Alai  (Jinko Ghair Muqallideen Ulama Hindustan Me Hadees Sharif Ko Aam Karne Wale Muhaddiseen Me Shumaar Karte Hai).Apna Yeh Tajruba Tehrir Farmate Hai “ Yaqeen Karlo Ke In Charo Maslako Me (Hanafi,Shafai,Maliki,Hambali) Ke Ikhtiyaar Karne Me Azeem Faida Hai Aur Inko Chorne Me Zabardast Nuqsaan Hai(Iqdul Jeed : 31)

Taqleed Chorne Ke Nuqsaanaat:

Taqleed Chorne Se Insaan Gumraahi Ke Jis Khatarnaak Gade Me Gir Jaata Hai Usko Bayaan Karte Huwe Usko Bayaan Karte Huwe Ghair Muqallid Alim Muhammad Hussain Batalvi Saheb Likhte Hai : ''25 Bars (Years) Ke Tajurbe Se Hum Ko Ye Baat Maloom Huwi Ke...Kufur Wa-Irtedaad Aur Fisq Ke Asbaab Dunya Me Aur Bhi Bakasrat Maujuud Hai Magar Deendaaro Ke Bedeen Ho Jane Ke Liye Be-Ilmi Ke Saath Tark Taqleed (Taqleed Chor Dena) Bada Bhaari Sabab Hai''...

Is Giro Ghair Muqallideen Ke Awaam Azaad Aur Khud Mukhtaar Ho Jate Hai(Ishaatus  Sunna  Ba-Hawala Al Kalam Al Mufid Safa No:  183) Aur Daur E Haazir Me Taqleed Chor Kar Ahle Hadees Banne Wale Afraad Ke Andar Jo Zid,Har Dharmi,Buzurgaan E Deen Aur Salaf Salaheen Se Bad Gumaani,Be-Adbi Wa Badtamizi Aur Kam Ilmi Ke Bawajuud Behas Wa Mubah-Haisa Wagaira Ki Jo Khatarnak Kharaabiya Dekhne Me Aarahi Hai Wo Khud Ghair Muqallid Ulama E Ikraam Ke Liye Lamha-E-Fikriya Hai !!!

Ummat Muhammadiya Me Taqleed Ki Tarikh:

Shaksi Aur Ghair Shaksi Taqleed Chou-Thi (4th) Sadi Ki Ejaad Nahi , Jaisa Ke Baz Kam Ilm Ya Mutas-Sibana Zahniyat Ke Log Kehte Hai Balke Sahaba Ikraam Ke Mubarak Zamana Se Aaj Tak Ummat Muslima Ke Andar Har Daur Me Taqleed Rahi Hai.Maslan Madina Munawwara Me Hazrat Zaid Bin Saabit Radiallah Tala Anhu Ki Taqleed E Shaksi Thi.(Bukhari : 237/ 1 , Hadees 1758).

Hazrat Ibn Umar Radiallah Tala Anhu Aur Dusre Sahaba Ikraam Radiallah Tala Anhum Jab Kisi Masla Me Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Hadees Na Paate To Hazrat Zaid Radiallah Tala Anhu Ke Qaul Per Fatwa Dete The(''Alaamul Muwaqqi-een'':  17/1) Aur Yahi Taqleed Shaksi Sharai Hai.Pehli Dusri Aur Teesri Sadi Me Bhi Ummat Me Taqleed Bilkul Aam Aur Zaahir Thi.

Jaisa Ke Shah Wali Allah Rahmatullah Aile Farmate Hai : Sahaba Radiallah Tala Anhum Ke Zamana Se Chaaro Maslako Ke Zahir Hone Tak Logo Ka Yahi Tariqa Raha Ke Unko Jo Mujtahid Aalim Mil Jaata Wo Uski Taqleed Karte Us Par Kisi Bhi Qabil Aitebaar Shaks Ne Aitebaar Nahi Kiya Agar Unka Ye Amal (Taqleed) Galat Hota To Wo Hazrat Is Per Zarur Aiteraaz Karte (Iqdul Jeed : 29)

Dusri Kitab Mei Likhte Hai : Dusri Sadi Ke Bad Teesri Sadi Me Ummat Me Makhsos Mujtahid Ke Mazhab Per Amal Ka Mijaaz Paida Huwa Aur Kisi Khas Mazhab Per Amal Na Karne Walo Ki Tadaad Kam Reh Gayi (Al Insaaf : 52)  Dusri Sadi Se Saatvi Sadi Tak Hanafi,Shafii,Malikii,Hambali Ke Alawa Aur Kai Fiqhi Masalako Per Amal Hota Tha Aur Unke Imamo Ki Taqleed Shaksi Hoti Thi.

Lekin Aatvi Sadi Me Char Ke Alawa Saare Maslak Khatam Ho Gaye.Jaisa Ke Mashor Muwarikh Alama Ibn Khaldun Rahmatullah Alai Saaf Likhte Hai :

''Tamam Mulko Me Taqleed Inhi Char Imamo Per Mehdood Ho Gayi Aur Unke Alawa Dusre Maslak Ki Taqleed Karne Wale Khatam Ho Gaye Aur Aaj Ahle Islam Inhi Char Imamo Ki Taqleed Per Jame Huwe Hai''(Muqadma Ibn Khaldan : 414)

Ek Galat Fahmi Ka Azaala:

Baaz Log Kam Ilm Musalmaano Me Ye Jhuta Propaganda Kar Rahe Hai Ke Hanafi Musalmaan Quran Wa Hadees Ke Khilaaf Imam Abu Hanifa Rahmatullah Alai Ki Baat Ko Maante Hai Aur Agar Imam Abu Hanifa Rahmatullah Alai Ka Qaul Hadees Ke Khilaaf Ho Tab Bhi Hadees Ko Chor Kar Imam Abu Hanifa Rahmatullah Alai Hi Ke Qaul Per Amal Karte Hai.Rooz E Qayamat Se Gaafil In Logo Ki Ye Bat Sarasar Jhut Aur Hanafiyo Per Bohtaan Hai.

Ahnaf Quran Wa Hadees Ke Khilaf Imam Abu Hanifa Ke Qaul Ko Hargiz Nahi Maante Hai , Balke Imam Sahab Ki Nasihat ''Iza Sahi Al Hadeesi Fahuwal  Mazhabi '' Ke Mutabiq Aapka Jo Qaul Quran Wa Hadees Aur Ijma Wa Asaar E Sahaba Rdh. Ke Mutabiq Hota Hai Uspar Amal Karte Hai Aur Jo Qaul Inke Khilaaf Ho Uspar Harghiz Amal Nahi Karte.

Koi Bhi Haq Parast Muqallid Quran Wa Hadees Per Apne Imam Ke Qaul Ko Hargiz Tarjeh Nahi Deta Hai.Albatta Ghair Muqallideen Hindustaani Ahle Hadees Hi Kitaab O Sunnat Ke Khilaaf Apne Ulama Ki Baato Ko Pakde Rehte Hai Jiska Un Hazraat Se Baat Cheet Karne Walo Aur Unki Kitaabe Padhne Walo Ko Khoob Andaaza Hai.

Hanafi Wa Shafii Wagaira Hone Ka Matlab:

Baaz Log Apni Kam Ilmi Ya Fehmi Ki Bunyaad Par Is Galat Fehmi Ka Shikaar Hai Ke Hanafi Shafii Maliki Aur Hambali Hona Muslim Hone Ya Kitaab O Sunnat Ka Pairokaar Hone Ke Khilaaf Hai Aur Kisi Imam Ki Fiqh Ko Manna Quran Wa Hadees Ki Muqaalifat Hai.Lekin Yeh Saraasar Un Hazraat Ki Jehalat Wa Kam Ilmi Aur Badgumaani Hai.Fiqh , Islaam Ke Tamaam Shobo(Aqaid , Ibaadat , Mamlaat , Ma’ashirat Wa Akhlaaqiyaat Wagaira) Se Mutaaliq Shariyat Ke Un Ahkamaat Ke Majmu-E Ka Naam Hai Jo Quran Wa Hadees Ka Ek Maahir Aalim Aur Mujtahid Kitaab O Sunnat Ki Roshni Me Apni Khudadaad Fiqhi Basirat Wa Salahiyat Ke Zariye Ummat E Muslimah Ko Batlaata Hai.Fiqh Par Amal Darsal Quran Aur Hadees Hi Par Amal Hai.Jaise Saato Qirat O Me Se Kisi Bhi Qaari Ki Qirat Dar Haqiqat Kalaam Ullah Hi Ki Qirat Hai Na Ke Us Qaari Ke Ghade Huve Tariqe Ki.Fiqh Ki In Imamo Ki Taraf Nisbat Us Fan Ki Bunyaad Daalne Ke Itebaar Se Hai.Jaise Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Hadeeso Ki Nisbat Bukhari, Muslim, Tirmizi Aur Tahavi Wagaira Ki Taraf, Quran Ki Qirato Ki Nisbat Asim Kufi, Hafz  Kufi Wagaira Ki Taraf !!!!!!!!  Aur Kisi Fan Ko Uske Baani Ke Taraf Mansoob Karna Na Quran Ke Khilaf Hai Na Kisi Sahi Ya Zaeef Hadees Ke Khilaaf.

Ek Baatil Propaganda Ki Haqiqat:

Ghair Muqallideen Hindustaani Ahle Hadees Ahbaab Aam Taur Se Apni Taqriro Aur Kitabo Ke Zariya Puri Shiddat Ke Saath Ye Propaganda Karte Hai Ke Imamo Ne Khud Apni Taqleed Se Logo Ko Mana Kiya Hai Aur Is Silsile Me Chaaro Imamo Ke Kai Aqwal Bhi Wo Log Naqal Karte Hai Lekin In Irshadat Ka Sahi Matlab Wa Mafhom Nahi Batate Hai.

Panchvi Sadi Ke Azim Muhaddis Aur Imam E Waqt Alama Ibn Abdul Bar Maliki Rahmatullah Alai Imamo Ke In Aqwal Ki Haqiqat Bayaan Karte Huwe Tehreer Farmate Hai Ke Ye Sab Aqwal( Yani Taqleed Se Mumaanat Ke Jitne Aqwal Hai )Wo Sirf Ulama Keliye Hai(Rahe Awaam Toh) .Ulama Ikraam Ka Is Bare Me Koi Ikhtelaaf Nahi Ke Aam Musalmaano Per Ulama Ki Taqleed Laazim Hai.Aur Ayat Sharifa ''Fasalo Ahlaz Zikra '' Me ''Ahle Zikar '' Se Ulama Hi Muraad Hai Aur Ulama Ka Is Baat Per Ittefaq Hai Ke Jis Tarah Qibla Ke Maamle Me Naabina Aadmi Per Dusre Qaabil E Aitemaad Shaks Ki Itteba Zaruri Hai Isi Tarah Jo Shaks Aalim Aur Sahib E Basirat Na Ho Usko Apne Aalim Ki Itteba Karna Zaruri Hai.(Jaami Baayanul Ilm Wa Fazlihi : 140/2)

Kya Maujuda Ghair Muqallideen Ahle Hadees Taqleed Nahi Karte Hai:

Maujuda Zamana Ke Ghair Muqallideen Baz-Am E Khud Ahle Hadees Ahbaab Din Raat Ye Propaganda Karte Rehte Hai Ke Wo Kisi Imaam Ki Taqleed Nahi Karte Hai Sirf Imamo Ke Imaam Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Itteba Karte Hai Agar Unka Ye Dawa Waqai Me Sahi Aur Saccha Hota To Bahut Qaabile  Tarif Tha.

Lekin Haqiqat Ki Dunya Iske Khilaaf Hai.Insaaf Ki Nazar Se Dekhe To Maloom Hota Hai Ke Ghair Muqallid Ahle Hadees Hazrat Ne Apne Jamat Ke Ghair Muqallid Ulama Ko Allah Ke Ilawa Apna Rab Bana Liya Jis Tarah Yahood Wa Nasara Ne Kiya Tha.

(Surah Tauba)

Do Char Hadeeso Ki Yaktarfa Aadi Tehqiq Ke Alaawa Baaqi Ke Pure Deen Me Aankh Band Karke Apne Ulama Ki Andhi Taqleed Karte Hai Ulama E Ghair Muqallideen Namaz Ke Chand Masail Ke Aard Me Musalmano Ko Imam Abu Hanifa Ra , Imam Shafii Ra Wagaira Azeem Ulama Ki Taqleed Se Hataa Kar Darhaqiqat Apna Muqallid Bana Rahe Hai.

Iski Ek Moti Misaal Yeh Hai Ke Jamiat E Ahle Hadees Hyderabad Wa Secunderabad Ke Ameer Abul Hasan Prataabgadi Sahab Likhte Hai : Sach Ye Hai Ke Hum Fiqa Ke Tamam Maakhiz Ko Taslim Karte Hai Iski Tafsil Darj E Zail Me Hum Mukhtasaran Bayaan Kar Rahe Hai...Quran …Sunnat...Ijma , Aqwal Sahaba , Qiyaas , Istehsaan , Istes-Haab , Masaalehe Mursala , Sadde Zaraaye , Hurf ,  Pehli Shariyat Ke Ahkam Alhamdulilaha Ahle Hadees Mazkoora Bala Tamaam Baato Ko Maankar Unke Sharait Ke Qabool Karte Hai.(Salafiyaat Hi Jamaat E Haq Safa No: 34)

Ameer Sahab Ne Quran Wa Hadees Se Hat Kar Aur Mazid 9 Cheezo Ko Islam Me Dakhil Karne Per Na Koi Ayat Pesh Ki Aur Na Apne Daawe Ke Mutabiq  Koi Saheeh Sareeh Hadees Zikr Ki .Iske Bawajuud Aaj Tak Kisi Ghair Muqallid Ahle Hadees Ne Unse Na Daleel Ka Mutaleba Kiya Aur Na Is Shirk E Azam Per Unko Mutnaba Kiya.

 Iske Alawa Ahle Hadees Ulama Ki Beshumar Kitabo Me Jagah Jagah Ibn Hajar Shafii Ra , Imam Nawawi Shafii Ra , Alama Zehbi Hambali Ra , Abdul Qadir Jeelani Hambali Ra , Ibn Abdul Bar Maliki Ra , Alama Shaami Hanafi Ra Wagaira Muqallid Ulama Ke Kai Aqwal Milte Hai Misaalo Ke Liye Dekhye( Fatawa Nazeeriya , Fatawa Sattariya Wagaira).

Thande Dil Se Sochye! Kya Yeh Ghair Muqallideen Ahle Hadees Hazrat ki Andhi Taqleed Nahi Hai ???

 

Read 11840 times

DARULIFTA

Visit: DARUL IFTA

Islahun Nisa

Visit: Islahun Nisa

Latest Items

Contact us

Markaz Ahlus Sunnah Wal Jama'h, 87 SB, Lahore Road, Sargodha.

  • Cell: +(92) 
You are here: Home Articles in Roman Urdu Taqleed Kya Hai ?

By: Cogent Devs - A Design & Development Company