AhnafMedia

Masnoon 20 Rakaat Taraveh ke Dalail

Rate this item
(32 votes)

 

 

 

Minjaanib : Majlis Tahaffuz Sunnat Wa Difa E Sahaba Radiallah Tal'a Anhum Andhra Pardesh.

Hamara Maslak : Ahle Sunnat Wal Jamaat.
Hamari Dawat
: Itteba Kitaab Wa Sunnat Bar Tariqa e Aslaaf E Ummat.
Hamara Nara :
Ittehaad Ummat.
Hamari Koshish :
Ahya e Tauhid Wa Sunnat Aur Khatma e Shirk Wa Bidat.
Hamara Maqsad :
Isha-at e Maarofaat Wa Izaala-E-Munkiraat.

Note :


Is Ishtehaar Ka Mukammal Ihtaram Farmaye Niche Girne Se Aur Kisi Bhi Be-ahterami Se Bachaye. Is Me Ayat Quraaniya Aur Ahadees Mubaraka Tehreer Hai Isko Padhye Aur Chap Kar Dusro Tak Puhucha Kar Sawab Daarain Hasil Kijiye.

Mohtaram Islaami Bhaiyo ! Jab Ramzaan Ka Mubarak Mahina Shuru Hota Hai Toh Khush Naseeb Musalmaan Allah Tala Ki Zyada Se Zyada Ibaadat Karne Aur Uski Raza Wa Khushnudi Se Apne Daman Ko Khoob Bharne Ki Anthakh Koshish Karne Lagte Hai.Khud Sarkaar E Do Aalam Khataman Nabiyeen Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Bhi Yahi Haal Rehta Tha Ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ramzaan ul Mubarak Me Ibaadat Wa Riyaazat Me Itni Mehnat Farmaate The Jitni Dusre Mahino Me Nahi Farmaate The.

Isi Waje Se Is Mahine Ke Andar Salaf-O-Saleheen Aur Buzurgaan E Deen Ki Tilawat E Quran , Namaz Aur Sadqaat Wa Khairaat Me Bahut Izaafa Hojata Tha.Masalan Imam Bukhari Rh. Sirf Ramzaan Me 61 Quraan E Paak Padhte The.(Hadi us Saari ) Aur Naik Musalmaan Bhi Rozaana Ki Farz Wa Sunnat Aur Tahajjud Ke Alaawa Mazeed 20 Rakaat Taraveh Bade Zauq Aur Shauq Se Adaa Karte Hai.

Lekin Afsoos Hai Ke Maujuda Daur Ke ghair Muqallideen Ahle Hadees Hazraat Is Maah E Mubarak Me Bhi Musalmaano Ko Ibaadat Ki Kasrat Se Rok Rahe Hai Aur Zyada Ibaadat Karne Ko Biddat Aur Gunah Ka Kaam Kehkar Khud Bhi Is Maah Ki Barkato Se Mehroom Ho Rahe Hai Aur Dusro Ko Bhi Mehroom Kar Rahe Hai.Ghair Muqallideen  Hazraat Ka Yeh Dawa Hai Ke Taraveh Sirf 8 Rakaat Hi Sunnat Hai Aur Usse Zyada Padhna Ya 8 Rakaat Taraveh Ke Alawa Alag Tahajjud Padhna Biddat Hai.Maujuda Jamaat e Ahle Hadees Ka Yeh Dawa Dalaail Ke Roh Se Bilkul Galat Aur Haq Ke Khilaaf Hai , Kyunke 20 Rakaat Taraveh Hadees E Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam , Asaar E Sahaba Rdh. Aur Ijma E Ummat Se Saabit Hai.Ba-Taur E Namuna Kuch Mustanad Wa Motabar Rivayaat E Naqal Ki Jaati Hai.

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Mubarak Amal

Hazrat Abdullah Bin Abbas Rdh. Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramzaan Ke Mahine Me 20 Rakaat Taraveh Aur Witr Padhaa Karte The.(Musannaf Ibn Abi Shaiba 225/5 , Hadees : 7774)

Yeh Hadees Hasan Darje Ki Hai.(Tafseel Ke Liye Padhe : Ahsaanul Tanqeeh Lau Rakaatut Taraveh ).

(Daur e Farooqi wa Usmaani)

  1. Yazeeb Bin Qaseefa  Hazrat Saaeb Bin Yazeed Rdh. Se Rivayat Karte Hai Ke Aap Rdh. Ne Farmaya: Hum Hazrat Umar Rdh. Ke Zamana E Khilaafat Me 20 Rakaat Taraveh Aur 3 Witr Ke Saat Qiyaam Karte The.(Marifa tul Sunan ul Asaar : 540/9).

Is Rivayat Ki Sanad Ko Imam Sabki Rh. Ne Sharah Minhaaj Me Aur Mulla Ali Qari Rh. Ne Sharah Muwatta Me Saheeh Qaraar Diya Hai.(Tohfatul Hauzi 75/2) Imam Ghazali Rh. Bhi Is Ki Sanad Ko Saheeh Kehte Hai.(Shara Al Taqreeb 97/3).

  1. Hazrat Saaib Bin Yazeeb Rdh. Farmaate Hai Ke Hazrat Umar Rdh. Aur Hazrat Usmaan Rdh. Ke Zamane Me (Sahaba Rdh. Aur Tabien Rh. Ba Jamaat) 20 Rakaat Taraveh Padhte The Aur (Qaari Saahibaan) 100 100 Ayaat Wali Surte Padhte The Aur Log Taweel Qiyaam Ke Waje Se Hazrat Usmaan Rdh. Ke Daur Me Laatiyo Ka Sahaara Lete The.(Sunan E Kubra 499/2 , Hadees No: 4617).

Alama Nawawi Rh. Ne “ Khulaasatul Ahkaam: 576/1 , Hadees: 1961 Me , Ibn Iraaqi Ne “Shara Al Taqreeb : 97/3 “ Me Aur Suyuti Rh. Ne “ Al Musaabeh “ Me Aur Muhaddis Nimawi Rh. Ne Asaar Ul Sunan 394/2 , Me Is Rivayat  Me Saheeh Qaraar Diya Hai. Maulvi Ayub Saabir Ahle Hadees Likhte Hai: Is Hadees Ki Sanad Bilaa Ghubaar Saheeh Hai.(Tehqeequt Taraveh: 51 , Ba-Hawala Rakaatut Taraveh Ek Tehqiqi Jayeza : 81).

  1. Yahiya Bin Saeed Kehte Hai Ke Hazrat Umar Rdh. Ne Ek Aadmi Ko Hukum Diya Ke Wo Logo Ko 20 Rakaat Taraveh Padhaye.(Musannaf Ibn Abi Shaiba , Jild 5 , Safa 223).

Is Rivayat Ki Sanad Mursal E Saheeh Hai.(Asaar E Sunan: 396/2)

  1. Yazeed Bin Romaan Kehte Hai Ke Log (Sahaba Wa Tabien) Hazrat Umar Rdh. ke Zamane Me 23 Rakaate Padhte The.(20 Rakaat Taraveh Aur 3 Rakaat Witr).(Muwatta Imam Malik 98).Yeh Rivayat Mursal Saheeh Hai.(Asaar E Sunan Jild 2 Safa 396).
  2. Hazrat Hasan Rh. Se Rivayat Hai Ke Hazrat Umar Rdh. Ne Logo Ko Hazrat Ube Bin Kaab Rdh. Ki Imamat Par Jama Farmaya.Wo Logo Ko 20 Rakaat Namaz E Taraveh Padhate The.(Sunan Abu Dawud Safa: 211 , Hadees No: 1429).

Daur Hazrat Ali E Murtuza Rdh.

Hazrat Ali Rdh Ne Ramzaan Ul Mubarak Me Qariyo Ko Bulaaya Phir Unme Se Ek Qaari Ko Hukum Diya Ke Logo Me 20 Taraveh Padhaye Aur Hazrat Ali Rdh. Khud Unhe Witr Padhate The.(Sunan E Kubra Baihaqi Jild 2 Safa 699 , Hadees No: 462 ).

Imamul Fuqaha Imam Shafii Rh. Ka Aankho Dekha Haal Aur Imam ul Muhaddiseen Imam Tirmizi Rh. Ka Muttafiqaana Faisla.

Aksar Ahle Ilm Ka Maslak Wahi Hai Jo Hazrat Ali Rdh. Aur Hazrat Umar Rdh.Wa Digar Sahaba Ikraam Rdh. Se Manqool Hai Ke Taraveh Ki 20 Rakaate Hai.Hazrat Sufiyaan Suri Rh. , Ibn Mubarak Rh. Aur Imam Shafii Rh Ka Yahi Maslak Hai Aur Imam Shafii Rh. Farmaate Hai Ke Maine Apne Watan Makkah Mukkaramah Ke Badshaaho Ko 20 Rakaat Taraveh Padhte Dekha Hai.(Tirmizi : 166/1 , Hadees No : 806 ).

Alhamdulillah Ibtedah Se Laikar Aaj tak Harmain Sharifain Makkah Mukkarmah Aur Madine Munawwarah Me Har Saal 20 Rakaat Taraveh Hi Padhai Jaarahi Hai.

Hazraat Khulfa E Rasheedin Rdh. Ke Alawa Degar Sahaba Rdh. Aur Tabien E Izaam Rh. Se Bhi Taraveh Ke 20 Rakaat Hi Manqool Hai.(Tafseel Ke Liye Padhe , Namaz E Paiyambar , Hadees Aur Ahle Hadees)

Aslaaf E Ummat Ka 20 Rakaat Taraveh Par Ittefaaq.

Imam Ibn Qudama Hambali Rh. Ki Tehqeeq E Sadeed.

Aur Imam Ahmed Bin Hambal Rh. Ke Yaha Pasandida Amal 20 Rakaat Ka Hai Aur Hazrat Sufiyaan Suri Rh. Bhi Yahi Kehte Hai Aur Unki Daleel Yeh Hai Ke Jab Hazrat Umar Rdh. Ne Sahaba Rdh. Ko Hazrat Ube Bin Kaab Ki Iqtedaa Me Jamaa Kiya Toh Wo 20 Rakaat Padhte The Neez Hazrat Imam Ahmed Bin Hambal Rh. Ka Istaid-Laal Hazrat Yazeeb Rdh. Wa Hazrat Ali Rdh. Ki Rivayat Se Hai.Imam Ahmed Rh. Farmate Hai Ke Yeh Ijma Ke Darje Me Hai Aur Jis Cheez Par Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sahaba Rdh. Amal Pai-raa rahe Ho Wahi Ittebaa Ke Zyada Laa-eq Hai.(Al Mughni : 139/2)

Shaarih E Saheeh Muslim , Alama Nawawi Shafii Rh. Ka Wazeeh Fatwa

Jaanlo Ke Namaz E Taraveh Ke Sunnat Hone Par Tamaam Ulama Ka Ijma Hai Aur Yeh 20 Rakaat Hai Jin Me Har 2 Rakaat Ke Baad Salaam Phairaa Jaata Hai.(Al Azkaar Safa No: 242 )

Alama Ibn Taimiya Hambali Rh. Ka Dotook Ahlaan E Haq.

Yeh Baat Saabit Ho Chuki Hai Ke Hazrat Ube Bin Kaab Rdh. , Sahaba Rdh. Wa Tabien Rh. Ko Qiyaam E Ramzaan Me 20 Rakaat Taraveh Aur 3 Witr Padhate The.Isi Waje Se Aksar Ulama Ke Rai Yeh Hai Ke Yahi Sunnat Hai Kyunke Muhajireen Wa Ansaar Me Se Kisi Ne Bhi Is Par Aiteraaz Nahi Kiya.(Fatawa Ibn Taimiya 68/23).

Peeraane Peer Shaik Abdul Qadar Jilaani Hambali Rh. Ka Irshaad e Giraami

Namaz E Taraveh Huzur E Sarwar E Kaunain Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Hai Aur Wo 20 Rakaat Hai.(Ghaniyatut Taalibeen  :464).

Shaikul Islaam Muhammed Bin Abdul Wahaab Hambali Rh. Ka Naara E Haq.

Shaikul Islaam Muhammed Bin Abdul Wahaab Rh. Se Namaz E Taraveh Ki Tadaad Ke Bare Me Pucha Gaya Toh Shaik Ne Jawaab Diya: Ke Mere Nazdeek Pasand Dida Aur Mustahab 20 Rakaat Taraveh Hai.(Taujihaat Fii Shaan Salatut Taraveh Wa Duaa Al Qunoot: Safa 20-21 , Majmua Mu-Allafaat Shaik Muhammed Bin Abdul Wahaab : 117/4 , Ba-Hawala Rakaatut Taraveh Ek Tehqiqi Jayeza).

8 Rakaat Taraveh Ke Dalail Ki Haqiqat.

Hazrat Ayesha Siddiqua Rdh. Se Rivayat Hai Ke “ Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam  Ramzaan Aur Ghair E Ramzaan Me 11 Rakaat Se Zyada Nahi Padhte The.(Saheeh Bukhari 269/1) Fuqaha Wa Muhaddiseen Ke Nazdeek Bukhari Shareef Ki Is Hadees Ka Taalluq Namaz E Tahajjud Se Hai Taraveh Se Nahi Hai.Jaisa Ke Shah Abdul Aziz Muhaddis Dehalwi Rh. Saaf Tehreer Farmate Hai: Jis Rivayat Me Yeh Bayaan Kiya Gaya Hai Ke Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ramzaan Aur Ghair Ramzaan Me 11 Rakaat Se Zaaid Na Padhte The Toh Issse Muraad Tahajjud Ki Namaz Hai Jo Ramzaan Aur Ghair Ramzaan Me Barabar Thi.(Fatawa Aziziya 119 , Ba-Hawala : Ahsaan Al Tanqeeh 175 ).

Kisi Saheeh Hadees Se Yeh Saabit Nahi Hai Ke Huzur E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ya Sahaba Ikraam Rdh. Ramzaan Me Hamesha Sirf 8 Rakaat Taraveh Padhte The. Aur Jitni Riwayaat Me 8 Rakaat Ka Zikr Aaya Hai , Wo Bahut Hi Zaeef Hai Kyunke Har Rivayat Me 2 Raavi Be-Had Zaeef Hai.Neez Muwatta Imam Malik Me Hazrat Umar Rdh. Se Ek Rivayat 11 Rakaat Ki Naqal Ki Gayi Hai.Lekin Raavi Ke Wahem Aur Muztiraab Hone Ki Waje Se Isko Zaeef Qaraar Diya Gaya Hai.(Tafseel Ke Liye Mutala Kijiye: Ahsaanul Tanfeeh Lau Rakaatut Taraveh , Namaz E Paiyambar , Rakaatut Taraveh : Ek Tehqiqi Jayeza).

Firqa E Ghair Muqallideen Hindustani Ahle Hadees Ke Maslak Ke Khilaaf Aaj Bhi Masjid E Haram Makkeh Mukkaramaah Aur Masjid E Nabawi Madine Munawwarah Me Chaaro Maslako Aur Ijma E Ummat Ke Mutaabiq 20 Rakaat Taraveh , Jumma Ke Din 2 Azaane , Mimbar Par 2 Arabi Khutbe Hote Hai Aur Khutbe Me Chaaro Khulfa E Rasheedin Ke Naam Liye Jaate Hai aur Hanafi Maslak Ke Mutabiq Namaz Ki Pehli Aur Teesri Rakaat Me Jalsa E Isterahaat Nahi Karte Balke Fauran Kadhe Hojaate Hai. Waha ke Imaam aur Tamaam Ulama sar dhaak kar namaz padhte hai.

Sochiye ! Kis Ka Amal Makkah Madine Wale Deen Ke Mutabiq Hai Aur Kis Ka Amal Uske Khilaaf Hai.

 

Read 4558 times

DARULIFTA

Visit: DARUL IFTA

Islahun Nisa

Visit: Islahun Nisa

Latest Items

Contact us

Markaz Ahlus Sunnah Wal Jama'h, 87 SB, Lahore Road, Sargodha.

  • Cell: +(92) 
You are here: Home Articles in Roman Urdu Masnoon 20 Rakaat Taraveh ke Dalail

By: Cogent Devs - A Design & Development Company